bad-zan haiñ ahl-e-ka.aba mujh dair-aashna se
kahte hai.n mujh ko kaafir fariyad hai khuda se
bedad mohtasib ki fariyad hai khuda se
barse sharab ghar ghar mai-khwar ki dua se
chitvan badal rahi hai naam aa gaya vafa ka
tevar bigaḌ rahe hai.n afsana-e-vafa se
ham kyuui tumhe.n bataye.n ham kyuu.n tumhei.n jatatae.n
roz-e-jaza na jaane maa.ngenge kya khuda se
vo puuchhte hai.n mujh se kaise ho tum 'mubarak'
mai.n kah raha huu.n achchha sarkar ki dua se
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸