ab kaun baat rah gai ye baat bhi gai
yani kabhi kabhi ki mulaqat bhi gai
kahte hain wo ki jazba-e-dil ab fareb hai
jab dil gaya to dil ki karamat bhi gai
jo kuchh kiya wo tu ne kiya iztirab-e-shauq
sau aafaten bhi aain meri baat bhi gai
dastar aap ki jo hui rehn-e-mai-kada
tauba hamari qibla-e-hajat bhi gai
wade ki kaun raat qayamat ka din nahi.n
aasar-e-subh kahte hai.n ye raat bhi gai
mana ki din sidhaare 'mubarak' shabab ke
rangin tabiato.n se mulaqat bhi gai
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸