sitam karo na karo ikhtiyar baqi hai
jo hum nahi.n to hamara mazar baqi hai
gai bahaar magar apni be-khudi hai wahi
samajh raha hu.n ki ab tak bahaar baqi hai
hazar marhala-e-intizar tai bhi hue
hazar marhala-e-intizar baqi hai
shikast-e-tauba hai aisi sawab mei.n dakhil
abhi se tauba 'mubarak' bahaar baqi hai
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸