tamashai to hai.n tamasha nahi.n hai
gira hai wo parda ki uThta nahi.n hai
ye kis ki nazar de gai rog ya-rab
sambhaale se ab dil sambhalta nahi.n hai
taDap jaiyega taDap jaiyega
taDapna hamara tamasha nahi.n hai
bahut phans nikli bahut khar nikle
magar dil ka kanTa nikalta nahi.n hai
ye har shakhs ki lan-tarani hai kaisi
ki har aankh to chashm-e-musa nahi.n hai
salamat meri wahshat-e-dil salamat
kaha.n meri wahshat ka charcha nahi.n hai
meri jaa.n bhi hai inayat tumhaari
ye dil bhi tumhaara hai mera nahi.n hai
bulai gai un ki mahfil mei.n duniya
magar ek mera bulawa nahin hai
zara aap samjhaiye dil ko naseh
mai.n samjha raha hu.n samajhta nahi.n hai
tumhei.n dekhne ko tarasti hai.n aankhe.n
bahut din hue tum ko dekha nahi.n hai
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸