taza aazar ka arma.n kaha.n jata hai
phir sata le tere qurba.n kaha.n jata hai
kis pe dil aaya kaha.n aaya bata ai naseh
tu meri tarah paresha.n kaha.n jata hai
khanqaho.n pe hua pir-e-mugha.n ka qabza
aaj mai-khane ka saman kaha.n jata hai
dil salamat nahi.n aane ka 'mubarak' ba-khuda
are nadan kaha man kaha.n jata hai
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸