kab lag sake jafa ko us ki wafa-e-alam
hai jis ka har karishma sabr-azma-e-alam
muhtaj phir jaha.n mei.n koi nazar na aata
karta khuda jo mujh ko hajat-rawa-e-alam
hum ko to kuchh na sujha aawe wahi dikha de
dekha ho gar kisi ne kuchh ya wara-e-alam
aalam agar hai hadis to mujh ko tu bata de
kyun ab talak hai wo hi nashw-o-numa-e-alam
koi kuchh hi samjhe is ko par apni aankh mei.n to
sath is hudus ke hai sabit baqa-e-alam
wo bhi nazar mei.n apni is waqt jalwa-gar hai
aalam jo kuchh ki hoga baad-az fana-e-alam
aankhe.n to tujh ko di hai.n Tuk dekh to sahi tu
hai rast kis ke qad par chaspa.n qaba-e-alam
aalam mei.n aur hum mei.n ik-tarfa raftagi hai
aalam fida hai hum par hum hain faida-e-alam
hum ibtida ki puchhe.n phir baiTh kar haqiqat
hum ko koi bata de gar intiha-e-alam
kya lutf aashiqi ka ab rah gaya hamari
yan aakhir-e-jawani wan ibtida-e-alam
kis ghuncha-lab ki mujh ko yaad aa gai hai is dam
jo tang ho gaya hai mujh par faza-e-alam
aise se dad-khwahi mahshar mei.n bhi sitam hai
har ek ghamza jis ka ho khuu.n-baha-e-alam
kab dad ko kisi ki pahuncha wo ru-e-dilkash
hum ne to us ko paya hasrat-faza-e-alam
jab aalam-e-haya se begana wo nigah thi
pate the tab bhi us ko hum aashna-e-alam
hain mushafi hum ab to manind hadse ke
dekhe.n Tale hai kis din sar se bala-e-alam
*******************