donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mushafi Gholam Hamdani
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* kab saba su-e-asiran-e-qafas aati hai *

kab saba su-e-asiran-e-qafas aati hai

kab ye un tak khabar-e-amad-e-gul lati hai

duKkhtar-e-raz ki hu.n sohbat ka mubashir kyu.nkar

abhi kam-sin hai bahut mard se sharmati hai

kyu.nki farba na nazar aawe teri zulf ki laT

jonk si ye to mera khuu.n hi pi jati hai

jism ne ruh-e-rawa.n se ye kaha turbat mei.n

ab mujhe chhoD ke tanha tu kaha.n jati hai

kya magar us ne suna shuhra-e-husn us gul ka

aankhe.n kohhaal se nargis bhi jo banwati hai

lakh hum sher kahe.n lakh ibarat likkhe.n

baat wo hai jo tere dil mei.n jagah pati hai

howe kis tarah dilerana wo aashiq se do-chaar

apne bhi aks se jo aankh ki sharmati hai

'mushafi' ko nahi.n kuchh wasf-e-izafi se to kaam

sher kahna zi-bas us ka sifat-e-zati hai

********************


 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 388