kabhi to baiThu.n hu.n ja aur kabhi uTh aata hu.n
manu.n hu.n aap hi phir aaphi ruTh jata hu.n
muamla to zara dekhiyo tu chahat ka
mujhe satawe hai wo us ko mai.n satata hu.n
ruka hua wo mujhe dekh kar jo bole hai
to bolta nahi.n mai.n us se sar hilata hu.n
par itne mei.n jo main sochu.n hun ye na ruk jawe
zaba.n pe apni bhi ik-adh harf lata hu.n
kahe hai dil ye ki aise se dosti hai abas
buraiyo.n ka jo us ki khayal lata hu.n
ye kah ke baiTh rahu.n hun jo apne ghar mei.n zara
to dil kahe hai ye ghabra ke mai.n to jata hu.n
jab apna haal ye dekhu.n hu.n mai.n to hona chaar
jhapaT ke pichhe se dil ke qadam uThata hu.n
bata tu 'mushafi' kya tujh ko ho gaya kam-bakht
kuchh in dino.n tera chehra taghir pata hu.n
*****************