kahi.n maghz us ke mai.n subh-dam teri bu-e-zulf-e-rasa gai
tere kuche se jo chaman talak gul uDati KHak-e-saba gai
maraz ek jaha.n se nirala tha meri jaan tere mariz ka
na hua kisi se ilaj jab ajal us ki karne dawa gai
gharaz is nibah ke sadqe mei.n gharaz aisi chah ke sadqe mei.n
na tera hi jaur-o-jafa gaya na meri hi mehr-o-wafa gai
ye bahaar howegi sab KHiza.n na sama.n na lala na arghawa.n
dam-e-garm ki mere dosta.n kabhu bagh mei.n jo hawa gai
jo fida-e-surat-e-KHub hai.n unhe.n tab kahu.nga ki dekhiye
koi shakl apni hi chashm mei.n kabhu sair karti jo aa gai
mai.n hua ba-KHak-e-siyah-faro tere kuche mei.n ba-sad-arzu
raha sharmgin hi hamesha tu teri ab talak na haya gai
sar uThau.n kyunke mai.n 'mushafi' nahi.n mujh mei.n tab-o-tawa.n zari
ki KHiram us but-e-shoKH ki mujhe KHak hi mei.n mila gai
**************