kal patang us ne jo bazar se mangwa bheja
sada manjhe ka use mah ne gola bheja
nam ka us ke jo mai.n kah ke muamma bheja
ye bhi harakat hai buri us ne ye farma bheja
us ki farmaishe.n kya kya na baja laya mai.n
kabhi paTTa kabhi lachka kabhi goTa bheja
qais o farhad ko jagir yahi ishq ne di
ek ko koh mila ek ko sahra bheja
sozan o shana o aaina KHaride hum ne
kabhi bheja bhi to us gul ko ye sauda bheja
phir tah-e-KHak mera dagh-e-jigar taza hua
kis ne turbat pe meri lala-e-hamra bheja
aashiqo.n mei.n use ginte nahi.n warasta-mizaj
jis ne ta-nok-e-qalam harf-e-tamanna bheja
dagh-e-dil zaKHm-e-jigar kulfat-e-gham dard-e-firaq
hazrat-e-ishq ne kya kya nahi.n tohfa bheja
'mushafi' ja ke waha.n bhul gae kya hum ko
kabhi yaran-e-adam ne jo na purza bheja
*******************