donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mushafi Gholam Hamdani
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* kapDe badal ke aae the aag mujhe laga gae *

kapDe badal ke aae the aag mujhe laga gae
apne libas-e-surKH ki mujh ko bhaDak dikha gae
baiThe ada se ek pal naz se uTThe phir sambhal
pahlu chura gae nikal ji hi mera jala gae
rakhte hi dar se pa baru.n le gae sabr aur suku.n
fitna-e-KHufta tha junu.n phir wo ise jaga gae
mujh ko to kaam kuchh na tha go ki wo the pari-laqa
bar-e-KHuda ye kya hua kyu.n wo mujhe sata gae
hai ye ajab tarah ki baat kyu.nki na maliye apne hath
dil pe hamare wo to raat chauki si ek biTha gae
sehr kiya ki ToTka aai ye wae kya bala
hae ye ji kidhar chala zor-e-ada dikha gae
garche na the kuchh itne garm lek dikha ada-e-sharm
dil ko lage jo narm narm saKHt qalaq laga gae
aawe.nge phir bhi 'mushafi' dekhne mere ghar kabhi
aTka hai ab to un se ji garche wo munh chhupa gae

*****************

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 202