donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mushafi Gholam Hamdani
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* kha lete hai.n ghusse mei.n talwar kaTari kya *

kha lete hai.n ghusse mei.n talwar kaTari kya
hum log hai.n saudai auqat hamari kya
bijli se lipaT kar hum bhasamant hue aaKHir
us ko tere daman ki samjhe the kanari kya
jun shama sar-e-shab se mai.n rone ko baiTha hu.n
ta aaKHir-e-shab dekhu.n dikhlae ye zari kya
ghabrai jo phirti hai is taur saba har-su
aati hai gulista.n ko us gul ki sawari kya
rona meri aankho.n se jab tak ki na sikhega
ja baiTh tu rowega ai abar-e-bahaari kya
sote se to uThne do Tuk us ko sahar hote
dekhoge ki machlegi wo chashm-e-KHumari kya
nargis ki KHajil aankhe.n itni to na thi.n gahe
us chashm-e-mufatti.n se bazi koi haari kya
auqat mujarrad ki kis tarah basar howe
jangal hai ye bikti hai ya.n na.n nahaari kya
ai 'mushafi' main us ko ji jaa.n se go chaha
aaKHir ko hua hasil juz-zillat-o-KHwari kya

***************


 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 214