donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mushafi Gholam Hamdani
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* KHuda ki qasam phir to kya KHair howe *

KHuda ki qasam phir to kya KHair howe
hum aur tum akele ho.n aur sair howe
kare.n ghair ka shikwa kis taur phir hum
na apne siwa jab koi ghair howe
ziyarat kare.n dil mei.n kabe ki apne
jo mujh sa koi sakin-e-dair howe
mile aise zardar se kis ki juti
na tayyar jis se tera pair howe
agar KHamushi ko mai.n goyai likkhu.n
to diwan mera mantiquttair howe
hua KHasm-e-jaan 'mushafi' wo to tera
na insan ko insan se bair howe

****************


 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 206