donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mushafi Gholam Hamdani
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* KHush-talai mei.n shams o qamar dono.n ek hai.n *

KHush-talai mei.n shams o qamar dono.n ek hai.n
din raat ka to farq hai par dono.n ek hai.n
KHwahi mei.n rou.n laKHt-e-jigar KHwah ashk sirf
aankho.n mei.n meri lal-o-gohar dono.n ek hai.n
dijur mei.n kise hai sapid o siyah ka farq
zindaniyo.n ko sham o sahar dono.n ek hai.n
kahne ko garche hath juda hai.n mere wale
hone ko us ka tauq o kamar dono.n ek hai.n
KHwahi tu chashm-e-chup se dar aa KHwah rast hai
aane ko ghar mei.n dil ke ye dar dono.n ek hai.n
jo qulzum-e-fana ka musafir hua use
baad-e-murad o mauj-e-KHatar dono.n ek hai.n
mai.n jal raha hu.n un ke to hatho.n se kuchh na puchh
ai 'mushafi' ye dida-e-tar dono.n ek hai.n

******************


 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 290