donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mushafi Gholam Hamdani
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* KHwariya.n badnamiya.n ruswaiya.n *

KHwariya.n badnamiya.n ruswaiya.n
ishq ne shakle.n ye sab dikhlaiya.n
wo hi kin baate.n jo tujh ko bhaiya.n
bal be ai zalim teri KHud-raiya.n
mar gae lakho.n hi aur parwana ki
kya kahu.n mai.n us ki be-parwaiya.n
ek surat ke liye is ishq mei.n
saikDon surat ki hai.n ruswaiya.n
shauq mei.n aaghosh-e-tegh-e-naz ke
zaKHm-e-dil lete hai.n sab angDaiya.n
hum se puchhe koi uzlat ka maza
gosha-e-sahra hai aur tanhaiya.n
dil mushabbak surat-e-baadam hai
barchhiya.n palko.n ki kis ki khaiya.n
KHana-e-dil par hamare ya nasib
baadalo.n ne bijliya.n barsaiya.n
'mushafi' bhi hai phankaito.n mei.n miya.n
yaad hai.n us ko bhi kitni ghaiya.n

*************

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 200