donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mushafi Gholam Hamdani
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* ki aah hum ne lekin us ne idhar na dekha *

ki aah hum ne lekin us ne idhar na dekha
is aah mei.n to hum ne kuchh bhi asar na dekha
kya kya bahaare.n aai.n kya kya daraKHt phule
naKHl-e-dua ko lekin mai.n barwar na dekha
hargiz hua na yaro wo shoKH yar apna
zin pesh warna hum ne kya kya ki kar na dekha
rahte hai.n kya bhala wa.n aafat-zade hi sare
us kuche mei.n kisi ka aabaad ghar na dekha
pahuncha gali tak us ke aage khaDa raha mai.n
aage qadam ke rakhte phir nama-bar na dekha
do do pahar tak us ke aage khaDa raha mai.n
par us ne zid ke mare bhar kar nazar na dekha
kya faeda rakkhe hai bas ab zyaada mat ro
rona tera kisi ne ai chashm-e-tar na dekha
kal yar ki gali mei.n DhunDa jo 'mushafi' ko
ek lash to paDi thi par us ka sar na dekha

******************

 

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 220