donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mushafi Gholam Hamdani
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* kidhar jaiye aur kaha.n baiThiye *

kidhar jaiye aur kaha.n baiThiye
parichita nahi.n dil jaha.n baiThiye
mai.n dekha tumhei.n KHub parde mei.n ab
zara aur ho kar niha.n baiThiye
khaDe dekhte kya ho phir aaiye
karam kijiye mehrba.n baiThiye
abhi se kahan uTh chale koi dam
ghanimat hai sohbat miya.n baiThiye
tere hatho.n se ai jafa-e-falak
bata tu hi chhup kar kaha.n baiThiye
biThaya mujhe tum ne zinda.n mei.n KHub
mai.n baiTha bas ab dosta.n baiThiye
tum aankho.n mei.n kya baiThte ho meri
ba-pahlu-e-dil misl-e-jaan baiThiye
nahi.n baiThne ki tumhaare wo ja
idhar aaiye ab yaha.n baiThiye
na pahunchoge manzil ko tum 'mushafi'
gaya dur ab karwan baiThiye

*****************


 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 285