donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mushafi Gholam Hamdani
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* kijiye zulm saza-war-e-jafa hum hi hai.n *

kijiye zulm saza-war-e-jafa hum hi hai.n
khinchiye tegh ki muddat se fida hum hi hai.n
tafta-dil soKHta-jaan chaak-jigar KHak-basar
kya kahe.n masdar-e-sad-guna-bala hum hi hai.n
nahi.n mauquf dua apni to kuchh baad-e-namaz
baiThte uThte jo mange.n hai.n dua hum hi hai.n
ye bhi koi tur se Tuk jalwa dikha chhup jaana
aur bhi log hai.n tarsane ko kya hum hi hai.n
wo jo kahlate the zin-pesh tere yaro.n mei.n
jaan-e-man ab to hamei.n bhul gaya hum hi hai.n
na barahma.n ki mashiKHat hai na ruhba.n ki qadr
ab to is mai-kade mei.n nam-e-KHuda hum hi hai.n
ishwa-o-naz tera hum se yahi kahta hai
nahi.n karte jo kabhi tir KHata hum hi hai.n
be-nawao.n ki tarah aa ke tere kuche mei.n
wo jo kar jate hai.n ek roz sada hum hi hai.n
aadhi raat aae tere pas ye kis ka hai jigar
chaunk mat itna ki ai hosh-ruba hum hi hai.n
'mushafi' Tal gae sab marka-e-ishq ke bich
wo jo Thahre rahe hai.n ek zara hum hi hai.n

********************


 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 239