donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mushafi Gholam Hamdani
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* kis rah gaya laila ka mahmil nahi.n malum *

kis rah gaya laila ka mahmil nahi.n malum
hai baadiya reg aur hamei.n manzil nahi.n malum
mai.n hashr ke din dawa KHun kis se karu.nga
wo kushta hu.n jis kushta ka qatil nahi.n malum
nikle.n hai.n mere dil ke taDapne mei.n adae.n
hai kis ki nigaho.n ka ye bismil nahi.n malum
tha ru-e-dil-e-KHasta to shab meri taraf ko
kab ho gaya mizhga.n ke muqabil nahi.n malum
wo bahr hai dariya-e-sarishk apna ki jis ka
pahna hi nazar aawe hai sahil nahi.n malum
mar jau.n ki jita rahu.n mai.n hijr mei.n tere
kis chiz ka KHwaha.n hai mera dil nahi.n malum
aankho.n se guzara hai jo yu.n laKHt jigar ka
aate hai.n chale kis ke ye ghael nahi.n malum
kya jaaniye kya us mei.n teri aankho.n ne dekha
kyu.n ho gain aaine ki mail nahi.n malum
ai 'mushafi' afsos ki is hasti pe hum ko
tahsil-e-wafadari ka hasil nahi.n malum

****************


 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 183