donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mushafi Gholam Hamdani
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* kya chamke ab faqat meri nale ki shaeri *

kya chamke ab faqat meri nale ki shaeri
is ahd mei.n hai tegh ki bhaale ki shaeri
saman sab tarah ka ho laDne ka jin ke pas
hai aaj kal unhi.n ki masale ki shaeri
shaer risala-dar na dekhe na mai.n sune
ijad hai unhe.n ka risale ki shaeri
mard-e-galim-posh ko ya.n puchhta hai kaun
gar garm hai to shaal doshaale ki shaeri
ye sher garm garm paDhe jate yu.n nahi.n
munh bolti hai garm niwale ki shaeri
naKHra bhi sher mei.n ho to han 'soz' ka sa ho
kis kaam ki wagarna chhinale ki shaeri
diwan jin ke kafsh se afzu.n nahi.n zara
karte hai.n kya wo log kasale ki shaeri
chune ke kaghazo.n pe jhaDen hai.n jo apne sher
yani ki aa rahi hai diwale ki shaeri
kaisa hi baDh chale wo kalam-e-sharif par
sarsabz ho kabhi na rizale ki shaeri
bazo.n ne tab to sher pe 'hasrat' ke yu.n kaha
kya dal-muTh bechne wale ki shaeri
hu.n 'mushafi' mai.n tajir-e-mulk-e-suKHan ki hai
'Khusro' ki tarah ya.n bhi aTale ki shaeri

********************

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 215