donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Nasir Amrohvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aaj aawaza e haq kisko sunaee dega *
Aaj aawaza e haq kisko sunaee dega 
sach to bus woh hai jo andhoN ko dikhaee dega.  

Dour e hazir meiN kahaN kis ki ragoN meiN surkhi 
koun hathoN ko tire rang e hinaee dega.  

Ghair haiN sab meri mayyat ko uthhane wale 
maine socha tha ke kaandha mira bhai dega. 

Ab kahaN khoon ke rishtoN ka bharam hai baqi 
koun is dour meiN rishtoN ki duhaee dega. 

Hai zamane meiN buraee ka chalan kuchh aisa
har bura shakhs har achchhe ko buraee dega. 

Teri yadeiN, tiri bateiN, tiri ghazleiN Nasir 
baad tere bhi tira zikr sunaee dega.

Nasir Amrohvi. 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 417