donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Nasir Amrohvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ae kash mere gham ka madawa kare koi *

 

Ghazal:
 
 Ae kash mere gham ka madawa kare koi
be lous aaye kaar e maseeha kare koi
 
NazreiN chura chura ke woh dekha kareiN mujhe
un ko nazar chura ke na dekha kare koi
 
Bikhri haiN zulfeiN, paoN haiN nange hai sar kula
himmat hai gar to aaye nazara kare koi
 
Apna bhi gham hai baar e amanat bhi sar pe hai
chhoti si is hayaat meiN kya kya kare koi
 
Socha hai humne raah meiN palkeiN bichhayeiN ge
humse kabhi to aane ka wada kare koi
 
Dil ke muamlaat ko hontoN pe laaiye
aisa bhi kya ke khoon e tamanna kare koi
 
Mansoob hoN jo tujhse to ruswaaiyaaN qubool
hum ko bhi tere naam se ruswa kare koi
 
Nasir hai ab laboN pe hamare yahi dua
reh reh ke humko yaad na aaya kare koi.
******************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 335