* Aksar saire chaman se yaaro ! Laut ke jab ghar aaya hu’n *
Ghazal numa
Aksar saire chaman se yaaro ! Laut ke jab ghar aaya hu’n
Bas kante hi laya hu’n
Jism–o- jaa’n ke baam-o-dar se lekar “rooh jharoke tak
Khushbu ban kar chaya hu’n
Chhao’n ghanee deta hu’n aate jate har ak rahee ko
Mai’n bargad ka chaaya hu’n
Ik muddut se roothee hoyee thee mujh se jo takhliq-e-ghazal
Us ko manane aaya hu’n
Thhori dhoop mere aa’ngan me’n aane de ab yaar “Nazeer”
Mai’n tera humsaya hu’n
|