donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qalandar Bakhsh Jurat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* ba-sad aarzu jo wo aaya to ye hijab-e-ishq se haal tha *

ba-sad aarzu jo wo aaya to ye hijab-e-ishq se haal tha

ki hazaro.n dil mei.n thii.n hasrate.n aur uThana aa.nkh muhaal tha

raha shab jo hum se juda koi to kahe ye waqia kya koi

shab-e-hijr thi ki bala koi jise dekhte hi visal tha

rukh-e-yar ta na pada nazar rahe hum alam se ye nauhagar

ki hamare ranj-o-malal par to malal ko bhi malal tha

kare kaun us se barabari mah-o-zohra sab ko thi ham-sari

dam-e-subh dekh sitamgari rukh-e-mahr zarra-misal tha

shab-e-wasl dekh ke khwab mei.n mai.n paDa tha sakht azab 

mei.n

the hazar soch jawab mei.n ajab us ka mujh se sawal tha

mere josh-e-ashk se bahra-war hue kul jaha.n ke bahr-o-bar

na barasti aaj ye chashm-e-tar to Khuda-na-khwasta kal tha

jo numud karte hi aap se lage baiThne wo shitab se

to ye puchhe koi hubab se ki phulae apne ye gal tha

hawa main bhi dakhil-e-kushtga.n to abas tu howe hai sar-gara.n

ki mere gale ki taraf miya.n tere aab-e-tegh ka Dhaal tha

diya kha ke aap ne paan jo dil-e-mubtala hua surkh-ru

use samjha peT ka bojh wo jo tumhaare mu.nh ka ugal tha

jo mariz tha paDa jaan-ba-lab khabar aur kuchh nahi.n us ki ab

magar itna kahte hai.n log sab ki baDa ye nek-khisal tha

jo chaman se dur qafas hua to mai.n aur asir-e-hawas hua

ye jo zulm ab ke baras hua yahi qahr agle bhi sal tha

nahi.n chahta hai ab aasma.n ki hum aur wo hun ba-yak-maka.n

kahi.n aa gaya jo wo shab ko ya.n ki bulana jis ka muhaal tha

to ye rang chambar-e-charkh ka nazar aae tha mujhe barmala

kabhi tha siyah kabhi zard tha kabhi sabz tha kabhi laal tha

na kisi ne qadr ki 'jurat' ab kahe sher garche ajab ajab

jo na honge hum to kahe.nge sab ki baDa ye ahl-e-kamal tha


****************


 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 326