bin dekhe us ke jawe ranj o azab kyu.n kar
wo khwab mei.n to aawe par aawe khwab kyu.n kar
paas us ne jo biThaya dil aur tilmilaya
ab jaega Khudaya ye iztirab kyu.n kar
wo jab se hai safar mei.n dil muztarib hai bar mei.n
baiThe.n hum apne ghar mei.n khana-kharab kyu.n kar
saqi firaq-e-jaana.n halq apne ka hai darba.n
utre gale se phir yan qirt-e-sharab kyu.n kar
ghamgi.n hai.n jis ke gham se waqif nahi.n wo hum se
yarab phir is alam se ho sabr-o-tab kyu.n kar
wa.n hai sawal har dam rakhiye milap kam kam
haira.n hai.n ki de.n hum is ka jawab kyu.n kar
chhoTa hai sin tumhaara mukhrha hai pyara pyara
phir ho bhala gawara sharm-o-hijab kyu.n kar
mujh ko to hai ye hairat aisi rahi jo ismat
to hoga sarf-e-ishrat ahd-e-shabab kyu.n kar
ab taur ki to apne 'jurat' ghazal suna de
dekhe.n to is ke ho.nge sher intikhab kyu.n kar
******************