donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qalandar Bakhsh Jurat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* bulbul sune na kyu.nki qafas mei.n chaman ki baat *

bulbul sune na kyu.nki qafas mei.n chaman ki baat

aawara-e-watan ko lage khush watan ki baat

mat puchh haal apne tu bimar-e-ishq ka

hone lagi ab us ke to gor-o-kafan ki baat

hai mausam-e-bahaar mei.n ba-sad-zaba.n khamosh

ghunche ne kya suni thi kisi ke dahan ki baat

aish-o-tarab ka zikr karu.n kya mai.n dosto

mujh gham-zada se puchhiye ranj-o-meha.n ki baat

naseh mai.n kya kahu.n ki hua kis tarah se chaak

dast-e-junu.n se puchho mere pairahan ki baat

tha aaqil-e-zamana pa diwana ho gaya

jis shakhs ne suni mere diwana-pan ki baat

sar dije rah-e-ishq mei.n par mu.nh na moDiye

patthar ki si lakir hai ye kohkan ki baat

bazm-e-chaman bhi us se khajil hai bahaar mei.n

kya puchhne hai yar teri anjuman ki baat

yaro mai.n kya kahu.n ki jala kis tarah patang

puchho zaban-e-shama se us ki lagan ki baat

shayad usi ka zikr ho har rahguzar mei.n mai.n

sunta hoo.n gosh-e-dil se har ek mard-o-zan ki baat

wo shai nahi.n hai hum mei.n ki jis se mile wo yar

aati hai yu.n to hum ko bhi har ek fan ki baat

'jurat' khiza.n ke aate chaman mei.n raha na kuchh

ek rah gai zaba.n pe gul-o-yasma.n ki baat


***************

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 206