chheDne hum ko yar aaj aaya
bare kuchh chahl par mizaj aaya
takht shahi ka kis ko bhata hai
khush hamei.n faqr hi ka taj aaya
kisht-e-dil fauj-e-gham ne ki taraj
tis pe tu mangne khiraaj aaya
tu ne kya kya use ba-tang kiya
le ke tujh tak jo ehtiyaj aaya
ki dawa dard-e-dil ki bahuteri
ras koi na par ilaj aaya
mar gaya kal hi 'jurat'-e-bimar
tu ayaadat ko us ki aaj aaya
************