donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qalandar Bakhsh Jurat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* dard apna mai.n isi taur jata rahta hoo.n *

dard apna mai.n isi taur jata rahta hoo.n

hasb-e-haal us ko kai sher suna rahta hoo.n

ek hi ja rahne ka hai ghar pa usi ghar mei.n aah

dil ye rahta hai juda aur mai.n juda rahta hoo.n

baat mei.n kis ki sunu.n aah ki ai murgh-e-chaman

shor mei.n apne hi nalo.n ke sada rahta hoo.n

bare itna hai asar dard ke afsane mei.n

ek do shakhs ko har roz rula rahta hoo.n

bazm-e-khuba.n mei.n ye sar go kaTe rone pe mera

shama-san ashk par aankho.n se baha rahta hoo.n

aah-o-nala mei.n agar kuchh bhi asar hai mere

to mai.n us shokh ko ek roz bula rahta hoo.n

husn aur ishq ka kya zikr karu.n mat puchho

in dino.n zist se bhi apni khafa rahta hoo.n

dil laga jab se mera aah tabhi se 'jurat'

kitni hi aafate.n har roz uTha rahta hoo.n


***************


 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 218