donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qalandar Bakhsh Jurat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* darpai-e-umr-e-rafta hoo.n yarab *

darpai-e-umr-e-rafta hoo.n yarab

har-dam az-khud guzishta ho.n yarab

kya hu.n maqbul-e-tab-e-ahl-e-sukhan

ek mazmun-e-basta hoo.n yarab

kya dikhau.n mai.n apne jauhar aah

shakl-e-tegh-e-shikasta hoo.n yarab

apni kam-fursati kahu.n kya aah!

aah az-sina jasta hoo.n yarab

pani pani hoo.n jis ko dekh jahim

soz-e-gham se wo tafta hoo.n yarab

dekho kya ho ki wa.n hai naz-e-ghurur

mai.n ye ahwal-e-khasta hoo.n yarab


**************

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 208