dil ko ai ishq su-e-zulf-e-siyah-fam na bhej
rahzano.n mei.n tu musafir ko sar-e-sham na bhej
dekh ho jau.nga ghairo.n ke gale ka mai.n haar
haar phulo.n ke tu ai shokh-gul-andam na bhej
bhar nazar surat-e-gul dekh to le.n ai be-dard
hae sayyaad abhi hum ko tah-e-dam na bhej
jab wo bheje hai mujhe mai to kahe.n hai.n yu.n ghair
ye bahak jaega bas aur ise jam na bhej
bheju.n us pas jo qasid ko dobara to kahe
baz aaya, nahi.n lene ka mai.n inam na bhej
kucha-e-yar mei.n pahunche hai.n to bas rahne de
jite-ji ya.n se kahi.n gardish-e-ayyam na bhej
dam-ba-dam bheje hai quliya.n hi ko kya mu.nh se laga
lab se bhi lab ko mila bosa-ba-paigham na bhej
baad muddat ke tujhe paya hai tanha ba-khuda
aaj tu kaam ko ya.n se but-e-khud-kaam na bhej
de kabhi bosa-e-chashm-o-lab-e-jaan-bakhsh bhi jaan
sirf saughat hamei.n bosa-ba-paigham na bhej
galiya.n to hai.n mohabbat ki ibarat pyare
kab mai.n kahta hu.n ki likh kar mujhe dushnam na bhej
par ye dhaDka hai ki jawe na kahi.n khat pakDa
kar ke sar-name pe tahrir mera nam na bhej
'jurat' ab tujh se wo ruTha to mana kyunki mai.n lau.n
tu hi phir dene lagega mujhe ilzam na bhej
*******************