garmi mere kyu.n na ho sukhan mei.n
ek aag si phunk rahi hai tan mei.n
wo rashk-e-gul aae gar pas-az-marg
phula na samau.n mai.n kafan mei.n
hushyari mei.n kab hai aisi lazzat
jo kuchh hai maza diwana-pan mei.n
khwari ka meri wo lutf samjhe
kaamil ho jo aashiqi ke fan mei.n
gardish jinhe.n misl-e-asiya hai
daim unhe.n hai safar watan mei.n
naseh mai.n rafu ko tab kahu.n aah
haalat ho jo kuchh bhi pairaha.n mei.n
ai baad-e-khiza.n wo kya hue gul
khak uDne lagi hai kyu.n chaman mei.n
betabi-e-dil kare hai ruswa
kya jaiye us ki anjuman mei.n
hai tera hi dhyan aur kuchh ab
baqi nahi.n tere khasta-tan mei.n
jald us ko dikha de shakl ai jaan
rah jaegi warna man ki man mei.n
ghar mei.n jo nahi.n wo yar 'jurat'
ghabrae hai apni jaan tan mei.n
hai ji mein ki khana kar ke vira.n
ja baiThiye ek ujaD ban mei.n
****************