donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qalandar Bakhsh Jurat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* go hun wahshi pa tere dar se na Tal jau.nga *

go hun wahshi pa tere dar se na Tal jau.nga

han magar dasht-e-adam hi ko nikal jau.nga

tair-e-nama-bar apna yahi kahta hai ki aah

raqam-e-shauq ki garmi se mai.n jal jau.nga

jald ai kash jatawe use joban us ka

phir ho kis kaam ke tum jab ki main Dhal jau.nga

aaj go us ne ba-ruswai nikala mujh ko

gar yahi dil hai to phir aap se kal jau.nga

mashwara kar ke ye dil kucha-e-jaana.n ko chala

azm to lane ka kijo mai.n machal jau.nga

gar yahi aatish-e-ulfat hai to manind-e-sipand

aah mei.n mujmir hasti se uchhal jau.nga

nau-giraftar-e-mohabbat hu.n meri waza se tum

itna ghabrao na pyare mai.n sambhal jau.nga

wae qismat kahe jab sabr sa munis ye baat

tujh pe dekhu.nga bura waqt to Tal jau.nga

jald khuu apni badal warna koi kar ke tilism

aa ke dil apna tere dil se badal jau.nga

ji kahi.n tu na phansa warna tere dam se mai.n

aab-e-ghirbaal ki manind nikal jau.nga

ju.n hina apne wo qadmon se na lagne de.nge

is tamanna mein agar khaak mei.n ral jau.nga

jate jate kaf-e-afsos isi hasrat mei.n

ashk bhar la ke dam-e-naza bhi mal jau.nga

ji.n ke nazdik hai andaz-e-ghazal 'mir' pe khatm

un ko 'jurat' mai.n sunane ye ghazal jau.nga


****************

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 197