hai teri hi kaenat ji mei.n
ji tujh se hai teri zat ji mei.n
tu ne kiya qatl go ba-zillat
samjha mai.n ise najat ji mei.n
kyu.n gham ye mujhi pe mehrba.n hai
sab shad hai.n zi-hayat ji mei.n
is tang-dahan ke sukhan par
ya.n guzre hai.n so nikat ji mei.n
har-dam ba-hazar jalwa-e-nau
dekhu.n hu.n teri sifat ji mei.n
dam aankho.n mei.n aa raha hai 'jurat'
guzre hai ye aaj raat ji mei.n
aa jawe to haal-e-dil suna le.n
rah jae na ji ki baat ji mei.n
**************