donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qalandar Bakhsh Jurat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* hai ye gul ki aur us ki aab mei.n farq *

hai ye gul ki aur us ki aab mei.n farq

jaise pani mei.n aur gulab mei.n farq

lab-e-khubaa.n kaha.n wo lal kaha.n

hai bahut sharbat aur sharab mei.n farq

lakh gali kahi hai kam mat de

mai.n ginunga na ho hisab mei.n farq

zahida zohd tu paDha, mai.n ishq

hai meri aur teri kitab mei.n farq

ai sharabi gazak to karta hai

kuchh to kar dil mei.n aur kabab mei.n farq

aankh jab se khuli na dekha kuchh

zindagani mei.n aur hubab mei.n farq

kuchh nahi.n karte tum jo shoale mei.n

aur is ru-e-pur-itab mei.n farq

hai zami.n aasma.n ka yaro

zarre mein aur aaftab mei.n farq

kyu.nki 'jurat' ho shaikh tujh sa ki hai

piri aur aalam-e-shabab mei.n farq

****************

 

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 212