donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qalandar Bakhsh Jurat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* hamei.n dekhe se wo jita hai aur hum us pe marte the *

hamei.n dekhe se wo jita hai aur hum us pe marte the

yahi raate.n thii.n aur baate.n thii.n wo din kya guzarte the

wo soz-e-dil se bhar lata tha ashk-e-surkh aaankho.n mei.n

agar hum ji ki bechaini se aah-e-sard bharte the

kisi dhaDke se rote the jo baham wasl ki shab ko

wo hum ko mana karta tha hum us ko mana karte the

mili rahti thii.n aanhke.n ghalba-e-ulfat se aapas mei.n

na khauf us ko kisi ka tha na hum logo.n se Darte the

so ab sad-haif us khurshid-ru ke hijr mei.n 'jurat'

yahi raate.n hai.n aur baate.n hai.n wo din kya guzarte the


*****************


 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 191