donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qalandar Bakhsh Jurat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* har-chand bhare dil mei.n hai.n lakho.n hi gile par *

har-chand bhare dil mei.n hai.n lakho.n hi gile par

kya kahiye ki khulta nahi.n mu.nh waqt mile par

be-dard wo aisa hai ki marham ki jagah hae

chhiDke hai namak mere har ek zakhm chhile par

ta dil ko na washud ho to kya lutf mile hae

khilti hai jo bu ghuncha-e-gul ki to khile par

mashhur jawani mei.n ho wo kyu.n na jagat-baz

mailan-e-tabiat tha laDakpan se zile par

hum gulshan-e-hairat mei.n hai.n parwaz kaha.n ki

jun bulbul-e-taswir kabhi Tuk na hile par

sun wasf-e-dahan dijiye kuchh mu.nh se piyare

mujh shaer-e-muflis ki hai guzra.n sile par

kis mu.nh se baya.n kijiye wo lutf ki 'jurat'

dushnam jo wa.n milti hai.n Tuk aankh mile par

******************


 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 215