hum to kahte the dam-e-akhir zara susta na ja
le, chale hum jaan se, mukhtar hai ab ja na ja
le dil-e-betab aata hai wo kar le arz-e-haal
dekhte hi us ki surat is qadar ghabra na ja
tang ho kar kis ada se wasl ki shab ko wo shokh
mujh se kahta tha ki he he is qadar lipTa na ja
pas aana gar nahi.n manzur to aa aa ke shakl
az-rah-e-shokhi mujhe tu dur se dikhla na ja
jau.n jau.n kya kahe hai bas laDai ho chuki
pyar se mere gale ab jaan-e-jaa.n lag ja na ja
kya sama.n rakhta hai wo mahfil se uThna yar ka
aur ishaaro.n se mera kahna ki aa jaana.n na ja
kahte hai.n aata hai wo ai jaa.n bar-lab-amada
tu khuda ke waste Tuk aur bhi rah ja na ja
ruTh kar jab mujh se wo jata hai to kar zabt-e-ah
pahle to kahta hu.n mai.n tu jaa.n ab ja ya na ja
lek uTh kar jab wo jata hai to be-tabi se mai.n
wu.n hi kahta hu.n tire qurban jau.n aa, na ja
loTta hai 'jurat'-e-betab jaane se tere
yu.n use taDpa ke tu ai shokh-e-be-parwa, na ja
******************