itna batla mujhe harjai hu.n mai.n yar ki tu
mai.n har ek shakhs se rakhta hu.n sarokar ki tu
kam-sabaati meri har dam hai mukhatib ba-habab
dekhe.n to pahle hum us bahr se ho.n par ki tu
na-tawani meri gulshan mei.n ye hi bahse hai
dekhe.n ai nikhat-e-gul hum hai.n subuk-bar ki tu
dosti kar ke jo dushman hua tu 'jurat' ka
bewafa wo hai phir ai shokh sitamgar ki tu
***************