jab mai.n ne kaha ai but-e-khud-kaam ware aa
tab kahne laga chal be o bad-nam pare ja
hai subh se aashiq ka tere haal nipaT tang
malum ye hota hai ki ta-sham marega
naseh mere rone ka na mane ho ki aashiq
gar ye na kare kaam to phir kaam kare kya
aata hai gar is abr mei.n ai saqi-e-gulfam
to baada-e-gul-rang se tu jam bhare la
yan zist ka khatra nahi.n ha.n khi.nchiye talwar
wo ghair tha jo dekh ke samsam Dare tha
mai.n ne jo kaha ek to bosa tu mujhe de
bola wo zaba.n apni ko tu tham are haa.n
gar dida-o-dil farsh karu.n rah mei.n 'jurat'
mumkin hi nahi.n jo wo dil-aram dhare pa
*************************