donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qalandar Bakhsh Jurat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* jaha.n kuchh dard ka mazkur hoga *

jaha.n kuchh dard ka mazkur hoga

hamara sher bhi mashhur hoga

jaha.n mei.n husn par do din ke ai gul

koi tujh sa bhi kam maghrur hoga

paDenge yu.n hi sang-e-tafraqa gar

to ek din shisha-e-dil chur hoga

mujhe kal khak-afsha.n dekh bola

yahi ushshaq ka dastur hoga

hua hu.n marg ke nazdik gham se

khuda jaane ye kis din dur hoga

wahi samjhega mere zakhm-e-dil ko

jigar par jis ke ek nasuur hoga

hamei.n paimana tab ye dega saqi

ki jam-e-umr jab mamur hoga

jo yun gham nish-zan har dam rahega

to phir dil khana-e-zambur hoga

yahi rona hai gar manzur 'jurat'

to binai se tu mazur hoga


****************


 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 223