donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qalandar Bakhsh Jurat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* jazba-e-ishq ajab sair dikhata hai hamei.n *

jazba-e-ishq ajab sair dikhata hai hamei.n

apni jaanib koi khi.nche liye jata hai hamei.n

bazm mei.n takte hai.n munh us ka khaDe aur wo shokh

na uThata hai kisi ko na biThata hai hamei.n

kya sitam hai ki tariq apna rah-e-ishq mei.n aah

koi jis ko nahi.n bhata wo hi bhata hai hamei.n

is taraqqi mei.n tanazzul mei.n hai ki ju.n qamat-e-tifl

aasma.n umr ghTane ko baDhata hai hamei.n

band kar baiThe hai.n ab aankh jo hum to allah

nazar aata jo nahi.n so nazar aata hai hamei.n

ThanDe hone ka bhi ta samjhe.n maza itne liye

charkh manind-e-charagh aah jalata hai hamei.n

ai khusha ye ki wo hansne ke liye rota hai

apni khursandi-e-khatir ko kuDhata hai hamei.n

mil ke hum us se jo Tuk sowe.n to dukh dene ko

bakht-e-bad khwab judai ka dikhata hai hamei.n

hum hai.n wo murgh-e-giraftar ki apne par se

warna jis ko ki howe wo chhuData hai hamei.n

la ke us shokh-e-sitamgar ke do-rangi ke payam

na hansata hai koi ab na rulata hai hamei.n

san se ja baiThte hai.n us ke tasawwur mei.n hum aah

bazm-e-khubaa.n mei.n koi pas bulata hai hamei.n

mahw-e-nazzara ho.n kya hum ki ba-qaul-e-'jurat'

apni jaanib koi khi.nche liye jata hai hamei.n


******************

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 229