misl-e-aina ba-safa hai.n hum
dekhne hi ke aashna hai.n hum
nahi.n dono.n jaha.n se kaam hamei.n
ek faqat tere mubtala hai.n hum
dekh sae ki tarah ai pyare
sath tere hai.n aur juda hai.n hum
Tuk tu kar rahm ai but-e-be-raham
aakhirash banda-e-khuda hai.n hum
zulm par aur zulm karte ho
is qadar qabil-e-jafa hai.n hum
jun saba nam ko to hai.n hum log
lek dekha to ja-ba-ja hai.n hum
zulfe.n kahti hai.n us ki, aashiq ke
mar lene ko to bala hai.n hum
jab se paida hue hai.n ju.n aflak
aah gardish hi mei.n sada hai.n hum
hum bhi kuchh chiiz hai.n miya.n lekin
ye nahi.n jaante ki kya hai.n hum
shoala-e-na-tawa.n ki manind
hath mei.n tere ai saba hai.n hum
gar yahi hai hawa yaha.n ki to aah
ab koi aa.n mei.n hawa hai.n hum
tu jo kahta hai har ghaDi tere
dekhne se bahut khafa hai.n hum
kya kare.n yar tu hi kar insaf
tujh pe mail nahi.n hai.n ya hai.n hum
dil ke hatho.n se ai miya.n 'jurat'
zindagani se bhi khafa hai.n hum
***************