donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qalandar Bakhsh Jurat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* ai dila hum hue paband-e-gham-e-yar ki tu *

ai dila hum hue paband-e-gham-e-yar ki tu

ab aziyyat mei.n bhala hum hai.n giraftar ki tu

hum to kahte the na aashiq ho ab itna to bata

ja ke hum rote hai.n pahro.n pas-e-diwar ki tu

hath kyu.n ishq-e-buta.n se na uThaya tu ne

kaf-e-afsos hum ab malte hai.n har bar ki tu

wahi mahfil hai wahi log wahi hai charcha

ab bhula baiThe hai.n hum shakl-e-gunahgar ki tu

hum to kahte the ki lab se na laga saghar-e-ishq

mai-e-andoh se ab hum hue sarshaar ki tu

be-jagah ji ka phansana tujhe kya tha darkar

tan o tashnia ke ab hum hai.n saza-war ki tu

wahshat-e-ishq buri hoti hai dekha naada.n

hum chale dasht ko ab chhoD ke ghar-bar ki tu

aatish-e-ishq ko siine mei.n abas bhaDkaya

ab bhala khinchu.n hu.n mai.n aah-e-sharar-bar ki tu

hum to kahte the na hamrah kisi ke lag chal

ab bhala hum hue ruswa sar-e-bazar ki tu

ghaur kije to ye mushkil hai zami.n ai 'jurat'

dekhe.n hum is mei.n kahe.n aur bhi ashaar ki tu

*********************

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 245