nala-e-mauzu.n se misra aah ka chaspa.n hua
zor ye pur-dard apna matla-e-diwan hua
jis ne dekha aa ke ye aaina-khana dahr ka
fil-haqiqat bas wo apna aap hi haira.n hua
sab pe zahir ho gai betabi-e-dil shakl-e-barq
wo bhabhuka apni nazro.n se jo Tuk pinha.n hua
us ke jaane se ye dil mei.n aae hai rah rah ke hae
sab jaha.n basta hai ek apna hi ghar vira.n hua
kash dil se chashm tak aane na pata tifl-e-ashk
rafta rafta ab to ye laDka koi tufa.n hua
gar hue wa us ke lab to dekhiye kya gul khile
ho khafa jab be-tarah wo raunaq-e-busta.n hua
aae jo marqad pe mere so mukaddar ho gae
khaak ho kar bhi ghubar-e-khatir-e-yara.n hua
roz-o-shab rahne lage is ghar mei.n ye kafir sanam
kaba-e-dil saf apna ab to kufrista.n hua
josh-e-wahshat dekhiyo koi ki har ek khaar ke
dhajjiya.n ho kar gale ka haar ye dama.n hua
ashk-e-rangi.n ne jo apne kar diya ya.n farsh-e-gul
rashk-e-sad-gulshan hamei.n ye gosha-e-zinda.n hua
bandh gaya tera tasawwur jis ki aankho.n ke huzur
us ko bas aalam visal-o-hijr ka yaksa.n hua
yak-ba-yak tu ne ye kaisa rang badla ai falak
teri gardish se kahi.n kya sakht ji halka.n hua
kal talak jo ghar ghar apna tha so us ke dar pe aaj
nila pila dekh kar kya kya hamei.n darba.n hua
garche har qalib mei.n 'jurat' surate.n Dhalti rahi.n
par bana jo dard ka putla wo hi insa.n hua
******************