donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qalandar Bakhsh Jurat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* parwa nahi.n us ko aur mue hum *

parwa nahi.n us ko aur mue hum

kyun aise pe mubtala hue hum

go pise hi Dale ju.n hina wo

par chhoDe.n na pa.nw bin chhue hum

mizhgan-e-daraaz us ki kar yaad

sine pe gaDote hai.n sue hum

rone se makan-e-khana bole

bas lakh jagah se ab chue hum

ek bazi-e-ishq se hai.n aari

khele hai.n wagarna sab jue hum

khuba.n ko bin us ke dekhe.n kya khaak

maTi ke samajhte hai.n thue hum

dam aankho.n mei.n aa raha hai, lo jaan

jald aao wagarna ab mue hum

uTh jaane se us ke 'jurat' ai wae

malum nahi.n ki kya hue hum


***********************


 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 207