donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qalandar Bakhsh Jurat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* raat kya kya mujhe malal na tha *

raat kya kya mujhe malal na tha

khwab ka to kahi.n khayal na tha

aaj kya jaane kya hua hum ko

kal bhi aisa to ji niDhaal na tha

bole sab dekh meri jaa.n-kawi

ye to farhad ka bhi haal na tha

jab talak hum na chahte the tujhe

tab tak aisa tera jamal na tha

ab to dil lag gaya hai kyu.n ki na aae.n

pahle kahte to kuchh muhaal na tha

Tal gaya dekh yu.n tera abru

ki goya charkh par hilal na tha

Tuk na Thahra mere wo pas aa kar

kuchh tamasha tha ye visal na tha

dekh shab apne rashk-e-laila ko

dang tha mai.n to mujh mei.n haal na tha

sun ke bola tamam qissa-e-qais

ishq ka us ko bhi kamal na tha

itna roya lahu tu kab 'jurat'

abhi daman tera to lal na tha


***************

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 205