donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qalandar Bakhsh Jurat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* sab chale tere aasta.n ko chhoD *

sab chale tere aasta.n ko chhoD

bad-zaba.n ab to is zaba.n ko chhoD

mat uTha yar tere kuche mei.n

aan baiThe hai.n do jaha.n ko chhoD

waqt-e-sakhti ke aah jati hai

jaan bhi jism-e-na-tawa.n ko chhoD

sohbat-e-rast kab ho kaj se barar

tir aakhir chala kama.n ko chhoD

dast-e-be-dad-e-baghban se aah

hum chale aakhir aashiya.n ko chhoD

bagh se wo phira to murgh-e-chaman

lag chale sath gulsita.n ko chhoD

na-tawani se misl-e-naqsh-e-qadam

rahe na-chaar karwa.n ko chhoD

ham-nashi.n kah tamam qissa-e-ishq

aaj-kal par na dasta.n ko chhoD

ye mera haal hai jo wo qatil

uTh gaya dam ke mehma.n ko chhoD

jis tarah pher halq par khanjar

de koi murgh-e-nim-jaa.n ko chhoD

kar jawani pe rahm 'jurat' ki

bas gham-e-ishq is jawa.n ko chhoD


*********************

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 207