sab kahte hai.n dekh us ko sar-e-rah zami.n par
kis rah se aaya ye utar mah zami.n par
bimar ki tere to kahani hai baDi par
qissa hai ab ek dam mei.n hi kotah zami.n par
tu chhat pe chaDha us ke hai aisa ki bas aakhir
chhoDegi utarwa ke teri chah zami.n par
ye wo dil-e-muztar hai ki ju.n barq-e-tapida
gahe ba-falak aae nazar gah zami.n par
kuchh soch ke bas kanpne lagta hu.n mai.n 'jurat'
paDta hai qadam zor se jab aah zami.n par
****************