donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qalandar Bakhsh Jurat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* sach to ye hai be-jagah rabt in dino.n paida kiya *

sach to ye hai be-jagah rabt in dino.n paida kiya

soch hai har dam yahi hum ko ki hum ne kya kiya

wo gaya uTh kar jidhar ko mai.n adhar haira.n sa

us ke jaane par bhi kitni der tak dekha kiya

meri aur us shokh ki sahib-salamat jo hui

sabr o taqat ne kaha lo hum ne to mujra kiya

sair-e-gul karta tha wo aur aah betabi se mai.n

har taraf gulshan mei.n ju.n aab-e-rawa.n dauDa kiya

jab talak karte rahe mazkura us ka mujh se log

ji mei.n kuchh socha kiya mai.n aur dil dhaDka kiya

dard-e-dil kahna mera shayad ki us ne sun liya

warna kyu.n mujh ko dharaata hai bhala achchha kiya

dam-ba-dam hasrat se dekhu.n kyu.n na su-e-charkh mai.n

us ne auro.n ka kiya us ko hamei.n jis ka kiya

dil mile par bhi milap aisi jagah hote rahe

jo idhar taDpa kiye hum wo udhar taDpa kiya

mil gae the ek bar us ke jo mere lab se lab

umr bhar honTon pe apne mai.n zaba.n phera kiya

bas ki hai wo shohra-e-afaq us ke waste

ye dil-e-diwana kis kis shakhs se jhagDa kiya

sozish-e-dil kya kahu.n mai.n jab talak jita raha

ek angara sa pahlu mei.n mere dahka kiya

ishq-bazi mei.n kaha 'jurat' ko sab ne dekh kar

ye aziz apni hamesha jaa.n par khela kiya


********************

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 217