shab-e-wasl dekhi jo khwab mei.n to sahar ko sina figar tha
yahi bas khayal tha dam-ba-dam ki abhi to pas wo yar tha
jo na tha wo ghairat-e-gulsita.n to karu.n ab us ka mai.n kya baya.n
ki alam judai ka har zama.n mere ek dil pe hazar tha
shab-e-hijr ke kahe.n kya alam nazar aae subh ko bahte ya.n
ki ba-josh-e-barish-e-abr-e-gham pe bandha sarishk ka tar tha
tap-e-gham se tha jo jala-bala mere sine mei.n dil-e-mubtala
so dhua.n ho yu.n wo hawa hua ki na shoala tha na sharar tha
kabhi dast-e-zulf se the baham kabhi rukh ke lete the bose hum
shab-o-roz ab to hai dard-o-gham kabhi wun bhi lail-o-nahaar tha
jise yaad apni lagaiye use saf dil se bhulaiye
Tuk idhar to aankh milaiye yahi hum se qaul-o-qarar tha
shab-e-hijr ab ye satae hai ki khizan-e-marg dikhae hai
wo rukh ab kaha.n nazar aae hai ki jo rashk-e-subh-e-bahaar tha
mujhe shab jo nashsha-e-gham chaDha to phira kiya mai.n khaDa khaDa
raha ghash mei.n subh ko jo paDa usi kaif ka ye utar tha
hui hairat ab jo do-chand yan karu.n aur wajh mai.n kya baya.n
rukh-e-yar subh ko mahr-san magar aaine se do-chaar tha
mujhe ek aashiq-e-Kkhasta ki kahi.n kal jo qabr nazar paDi
na kisi se koi lagae ji ye khuda ba-lauh-e-mazar tha
dam-e-qatl koi jo bol uTha to KHajil ho kya wo khafa hua
use tum ne zabh abas kiya ye tumhaara shukr-guzar tha
koi naw bahr mei.n thi rawa.n kai us mei.n baiThe the mah-wisha.n
kahi.n us giroh ke darmiya.n dur-e-naz bhi wo sawar tha
tu ba-mauj-e-partaw-e-mah sa kaho iztirab mei.n dil ka kya
kabhi par tha kabhi war tha kabhi war tha kabhi par tha
ghazal aur qafiye ko badal mai.n sunau.n yaro.n ko bar-mahal
hua mukhtasar na ba-yak ghazal ki baDa fasana-e-yar tha
******************